People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Mujhe Puchne Ka
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: M.G. Hashmat
Album: Naari(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naari/Mujhe-Puchhne-Ka-Yeh-Haq-Male/OAkxBi4DGgQ
Video:
mujhe puche ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahta hu
mujhe puche ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahta hu
magar jane kyu puchna chahta hu

tera nam kya hai tu rahti kaha hai
tera hath mai thamna chahta hu
tera hath mai thamna chahta hu
mujhe puchne ka

achanak mile hai anokhi jagah pe
na jane ye kaisi mulakat hogi
tumhare mere jindagi ke safar me
kaha din dhalega kaha raat hogi
mujhe puche ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahta hu
tera naam kya hai tu rahti kaha hai
tera hath mai thamna chahta hu
mujhe puchne ka

kayi rup dekhe hai meri najar ne
magar na koi bhi najar me samaya
tumhe dekhte hi sanso me meri
dhadkan ki dhun pe naya geet gaya
mujhe puche ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahta hu
tera nam kya hai tu rahti kaha hai
tera hath mai thamna chahta hu
mujhe puchne ka

kabhi bekarari sataye jo mujhko
tere ghar ke charo taraf ghum lunga
bhatakne lagunga agar zindagi me
mai jhuk kar tumhare kadam chum lunga
mujhe puche ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahta hu
tera nam kya hai tu rahti kaha hai
tera hath mai thamna chahta hu
mujhe puchne ka
Mujhe Puchne Ka-1
Lyricist: M.G. Hashmat
Album: Naari(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naari/Mujhe-Puchhne-Ka-Yeh-Haq-Female/FQoDUwZWfWM
Video:
mujhe puchne ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahti hu
mujhe puchne ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahti hu
magar jane kyu puchna chahti hu

ye dil kisliye tumko chahne laga hai
tera hath kyu thamna chahti hu
tera hath kyu thamna chahti hu
mujhe puchne ka

juda hoke tumse kai baar soch ke
tumko pata apna kyu na bataye
khafa hoke sabse akele me baithi
akele me dil ko tu hi yaad aaya
mujhe puchne ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahti hu
ye dil kisliye tumko chahne laga hai
tera hath kyu thamna chahti hu
mujhe puchne ka

tumhe itna apna samjhne lagi hu
ki khud ko bhula ke chali ja rahi hu
mai ruk kar kisi mod par sochti hu
kaha se chali thi kaha ja rahi hu
mujhe puchne ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahti hu
ye dil kisliye tumko chahne laga hai
tera hath kyu thamna chahti hu
mujhe puchne ka

mohabbat bina zindagi ek saja hai
mohabbat ko duniya bura manti hai
magar itna mai bhi samajhne lagi hu
ye duniya tak sahi janti hai
mujhe puchne ka ye haq to nahi hai
magar jane kyu puchna chahti hu
ye dil kisliye tumko chahne laga hai
tera hath kyu thamna chahti hu
mujhe puchne ka ye haq to nahi hai
Neeche Zameen Uper Gagan
Lyricist: M.G. Hashmat
Album: Naari(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naari/Neeche-Zameen-Oopar-Gagan/GVAaSw0EXwU
Video:
niche jami upar gagan
niche jami upar gagan
us se bhi upar hai kya
socho kabhi tum jara
ab tak koi samjha nahi
ab tak koi samjha nahi
samjhoge kaisa bhala
diwana hona hai kya
niche jami upar gagan
us se bhi upar hai kya
socho kabhi tum jara

kyu ghumti hai jami
kyu ghume ye aasma
jamano se gardish me
sitaro ka ye kaarwan
hoga kaha pe khatam
jaari hai kabse safar
sitaro ki gardish ka hi
hota hai humpe asar
hai suraj kai kai chandrma
sitaro se aage hai kya
socho kabhi tum jara
ab tak koi samjha nahi
samjhoge kaisa bhala
diwana hona hai kya

jara dekhiye soch kar
kyu dunia me aaye hai hum
dhundhe mili na khushi
gamo se hi takraye hum
jindagi jitni aage badhi
maut utni karib aa gayi
kashmkash me kati har ghadi
chain milte hi nind aa gayi
agar kashmkash ko jina kahe
to jine ka matlab hai kya
socho kabhi tum jara
ab tak koi samjha nahi
samjhoge kaisa bhala
diwana hona hai kya

hai malik ka ghar kis jagah
jaha se wo dekhe hame
deta hai hamko saja
bura kaam jab bhi kare
pustak wo kitni badi
likhe naam sabke jaha
isharo se uske chale jiwan ka har karwa
banaye wahi mitaye wahi
insa ki hasti hai kya
socho kabhi tum jara
ab tak koi samjha nahi
samjhoge kaisa bhala
diwana hona hai kya
Pyar Ki Dil Pe
Lyricist: M.G. Hashmat
Album: Naari(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naari/Pyar-Ki-Dil-Pe-Chale-Hukumat/RycxATtUT0k
Video:
pyar ki dil pe chale hukumat
pyar ki dil pe chale hukumat
pyar khuda hai mera
jidhar mere mahbub ka ghar hai
jidhar mere mahbub ka ghar hai
udhar jhuke sar mera
pyar ki dil pe chale hukumat
pyar khuda hai mera
jidhar mere mahbub ka ghar hai
udhar jhuke sar mera
pyar ki dil pe chale hukumat

husn jhuke na kisi ke aage
sabko husn jhukaye
husn ke aage jhuke shanhsa
wakt yahi batlaye
tu bhi leke dekh le takkar
tu bhi leke dekh le takkar
kya anjam ho tera
pyar ki dil pe chale hukumat
pyar khuda hai mera
Jis Dil Mein Pyar Na Ho
Singer: Kishore Kumar
Music: Usha Khanna
Lyricist: M.G. Hashmat
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paisa-Yeh-Paisa/Jis-Dil-Mein-Pyar-Na-Ho/KTEhaT5CAVg
Video:
jis dil me pyar na ho us dil me kyu rahu
jis dil me pyar na ho us dil me kyu rahu
me gam ka aansu kyu banu, aankho se bahta kyu rahu
jis dil me pyar na ho us dil me kyu rahu
jis dil me pyar na ho

jise ghar samjhta hu me usme koi to hota
jise ghar samjhta hu me usme koi to hota
mera darde dil samjhta, mere dukh me sath hota
me dil ke dusmano ko is dil ki kyu kahu
me dil ke dusmano ko is dil ki kyu kahu
me gam ka aansu kyu banu, aankho se bahta kyu rahu
jis dil me pyar na ho us dil me kyu rah
jis dil me pyar na ho

sadiyo se zindagi me kuch aag aisi sulgi
sadiyo se zindagi me kuch aag aisi sulgi
pikar jahar bhi dekha nahi, pyas bujhi mere dil ki
is pyas me hamesha me tadpta kyu rahu
is pyas me hamesha me tadpta kyu rahu
me gam ka aansu kyu banu, aankho se bahta kyu rahu
jis dil me pyar na ho us dil me kyu rah
jis dil me pyar na ho
Sajna O Sajna
Music: Usha Khanna
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paisa-Yeh-Paisa/Sajna-O-Sajna/QDoHAjUIZUY
Video:
sajna sajna sajna o sajna sajna o sajna dil nahiyo lagna
sajna o sajna dil nahiyo lagna pyaar jindagi pe dekho chha gaya
sawan ka mahina fir aa gaya sawan ka mahina fir aa gaya
sajni o sajni sajni o sajni aankh nahi lagni
sajni o sajni aankh nahi lagni raato ki neend uda gaya
sawan ka mahina fir aa gaya sawan ka mahina fir aa gaya

sawan oye sawan sawan sawan haye sawan sawan sawan
o sawan pe aayi jawani sawan pe aayi jawani
tujhme kamau jaise chandan me paani
sawan pe aayi jawani sawan pe aayi jawani
tan ek ek ek ek ho jaye man ek ek ek ho jaye sajani o sajani
sajani o sajani aankh nahi lagni raato ki neend uda gaya
sawan ka mahina fir aa gaya sawan ka mahina fir aa gaya

baadal oye baadal baadal baadal haye baadal baadal baadal
ho baadal ne li angdayi baadal ne li angdayi
naino se naino ki ho gayi sagai
badal ne li angdayi badal ne li angdayi
tan ek ek ek ek ho jaye man ek ek ek ho jaye sajna o sajna
sajna o sajna dil nahiyo lagna pyaar jindagi pe dekho chha gaya
sawan ka mahina fir aa gaya sawan ka mahina fir aa gaya

pani oye pani pani pani haye pani pani pani
ho aag lagata pani aag lagata pani
pani me dekho meri jalti jawani
aag lagata pani aag lagata pani
rimjhim oye rimjhim rimjhim rimjhim haye rimjhim rimjhim
ho ambar se moti barse ambar se moti barse
hum tum dono kyu milne ko tarse
ambar se moti barse ambar se moti barse
tan ek ek ek ek ho jaye man ek ek ek ho jaye
tan ek ek ek ek ho jaye man ek ek ek ho jaye
tan ek ek ek ek ho jaye man ek ek ek ho jaye
Jor Jor Se
Music: Usha Khanna
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paisa-Yeh-Paisa/Jor-Jor-Se-Bajao-Jara-Band/AyBbWy5JfHY
Video:
khushiya manaye deke duaye
leke balaye kahta hu
ek ek saal in sab ki umar ka
naam tere likh deta hu
jeeyo joru ke gulam

jor se bajao jara band baja
jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha
are jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha
bua ji ke baute pe najre tikao
janamdin mubarak ho ye bhi phir gaao
mubarak ho mubarak ho
ha janamdin tumko mubarak ho

sun meri pyari bahna
sada mere pass tu rahna
jin raaho se tu hai aayi
un raaho pe bichhaunga naina
o bees saal nahi puchha
bees saal nahi puchha tera haal nahi puchha
ab daal rahe dana kahin fans nahi jana
ye rishte hai jhuthe aaj tute kal fute
tu na jane in lutero ko
tu na jane in lutero ko
rishtedar hai paisa karobar hai paisa
gharbar hai paisa sansar hai paisa
are paisa ye paisa ye paisa
haye re haye re paisa
jor se bajao jara band baja
oye jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha

maine mandir me deep jalaye
shri ram ko bhog lagaye
meri najre thi kabse ye pyasi
tu kab meri kutiya me aaye
teri jhuthi hai ye bhabhi
teri jhuthi hai ye bhabhi
mare sabko ye chabhi
kare mithi mithi baat
phere jeb pe ye hath
one two one
ye to do dhari talvar
kare pichhe se ye waar
samajh isharo ko mere samajh isharo ko
iska dharam hai paisa
iska karam hai paisa
iska kaam hai paisa
iska naam hai paisa
are paisa ye paisa ye paisa
haye re haye re paisa
jor se bajao jara band baja
oye jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha

tu humare liye shubh ghadi hai
tere aane se raunak badi hai
hume koi bhi lalach nahi hai
paisa ye paisa sab kuch nahi hai
main bada hoke itna kamau
tujhe sone ke kangan pahnau
hum nahi wo jo daulat pe marte
hum to nishkam sewa teri karte
tujhe kahta hu main sach
tujhe kahta hu main sach
in chammcho se bach
ye to maarte hai kab
maal jayenge hadap
kaisa maska lagaye kal aankh na milaye
aaj chhute hai pairo ko
aaj chhute hai pairo ko
inka pyar hai kaisa
inka yaar hai kaisa
inka chain hai kaisa
din rain hai paisa
are paisa ye paisa ye paisa
haye re haye re paisa
jor se bajao jara band baja
jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha

maa ne ijjat jo meri banayi
aankh khushiyo se hai bhar aayi
mere jivan ka tum ho sahara
mera jo kuch hai wo hai tumhara
sacche dil se karoge jo sewa
dega maalik tumhe iska mewa
mere laadlo mere laadlo
mere laadlo mere laadlo
jor se bajao jara band baja
jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha
are jor se bajao jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha
o jara band baja
naach ke dikaho bua ji ko tamasha
oye bua oye bua
are are are are
bua ji ke chammcho
bolo bua ji maharani ki jai
Mera Malik Mera Dil Hai
Music: Usha Khanna
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paisa-Yeh-Paisa/Mera-Malik-Mera-Dil-Hai/FF04eUx7fXg
Video:
la la la la ll la
la la la la ll la
la la la la ll la
la la la la ll la
la la la la ll la
la la la la ll la

mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
is jawani ko ab kya karu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
is jawani ko ab kya karu

koi meri aankho ko pasand karta
koi mujhe sapno me band karta
koi meri aankho ko pasand karta
koi mujhe sapno me band karta
hontho ko daba ke hath rakh dil pe
karke ishare rajamand karta
anchhui ha main to anchhui
anchhui ha main to anchhui
koi aur na jaye chhu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
is jawani ko ab kya karu

chandan si kaya ye meri rashmi baahe
sharmili najuk si gulabi hai nigahe
chandan si kaya ye meri rashmi baahe
sharmili najuk si gulabi hai nigahe
tujhko pukare kab se pyasi
sine se laga le ye tujhko bulaye
jise chaha ha jise maine chaha
jise chaha ha jise maine chaha
wo tu hai hubhu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
mera malik mera dil hai
dil ka mailk tu
Bam Bam Bhole
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
bam bam bhole khila de bhang ke gole
bam bam bhole khila de bhang ke gole
pakad lota de sota pakad lota de sota
laga ragda jaga tagda
bam bam bhole khila de bhang ke gole

we jatta haye oye jatta are kuch to bol
jat marode much ka bal shiv shambhu jai shambhu
or dikhaye akad kamal shiv shambhu jai shambhu
much marode akad dikhaye jatti ka na kare khyal
shiv shambhu jai shambhu shiv shambhu jai shambhu

bam bam bhole khila de bhang ke gole

kisse teri aankh ladi hai bachke rahna tej churi hai
jiske dil pe ye chal jaye tukdo me bat jaye
lachak lachak ke matak matak ke dil pe teer chalaye
do dhari talwar bani hai iski thumke wali chal
shiv shambhu jai shambhu shiv shambhu jai shambhu

bam bam bhole khila de bhang ke gole

husn bhi hai shabab bhi hai shola bhi hai aag bhi hai
lut le husn ke jalwe bad me tu pachtaye
aaj khushi se daman bharle kal ke upar bat na tal
shiv shambhu jai shambhu shiv shambhu jai shambhu

bam bam bhole khila de bhang ke gole

are jab jab nain milaye nari tab tab mara gaya barhmchari
kaya palat de nain ka kajra takto taj ulat de
sadhu ban gaye kayi sahanshah in julfo se ulajh ke
hum shiv ji ke bhole bhakt hai hampe tirchi najar na dal
shiv shambhu jai shambhu shiv shambhu jai shambhu

bam bam bhole khila de bhang ke gole
bam bam bhole khila de bhang ke gole
ragad badam mila pishta ragad badam mila pishta
bane sehat ka ye jashta bam bam bhole khila de bhang ke gole
shiv shambhu
Mai Pandit Tu Pathan
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
mai pandit tu pathan ha tu pandit mai pathan
mai pandit tu pathan ek duje pe kurban
mai pandit tu pathan ek duje pe kurban
ek rup me dekhe hamne allah or bhagwan
tu pandit mai pathan ek duje pe kurban

om or allah is dunia me pyar ke hai asul
om or allah is dunia me pyar ke hai asul
maine jisko ram pukara maine jisko ram pukara
tune kaha rusul om or allah wai om or allah
om or allah is dunia me pyar ke hai asul
tune padh li meri geeta maine tera kuran
tu pandit mai pathan ek duje pe kurban

rote rote dono bhai bahan ko aaj sajaye
rote rote dono bhai bahan ko aaj sajaye
pyar se jisko pala usse pyar se jisko pala usse
kaise juda ho jaye jug jug jiye allah oye
jug jug jiye jug jug jiye bahan hamari
usko lage duaye ek bhai ki pooja hai ye
duje ki ajan tu pandit mai pathan
ek duje pe kurban tu pandit mai pathan
ek duje pe kurban

tera mera pyar na jaye sar jaye to jaye
tera mera pyar na jaye sar jaye to jaye
jab mai dunia chhod ke jau
jab mai dunia chhod ke jau
tu hi gale lagaye tera mera wai wai
tera mera tera mera pyar na jaye
sar jaye to jaye tere hatho uthe janaja
to pahuchu shamshan tu pandit mai pathan
ek duje pe kurban
Bataye Rakhi Ka Tyohar
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
he bataye raakhi ka tyohar
chhupa hain bhai bahan ka pyaar
bataye raakhi ka tyohar
chhupa hain bhai bahan ka pyaar
reshmi dhage me reshmi dhage me
ho reshmi dhage me reshmi dhage me
bataye raakhi ka tyohar
chhupa hain bhai bahan ka pyaar
bataye raakhi ka tyohar
chhupa hain bhai bahan ka pyaar
reshmi dhage me reshmi dhage me
ho reshmi dhage me reshmi dhage me

ho isi desh me hindu bahan ka
banta muslim bhai ho
veer humayu naam tha uska
bahan thi karuna baai
ho isi desh me hindu bahan ka
banta muslim bhai ho
veer humayu naam tha uska
bahan thi karuna baai
apani jaan pe khel ke usne ho
apani jaan pe khel ke usne
bahan ki laaj bachai
soch ke dekho aisi takat
jane kaha se aai
reshmi dhage me reshmi dhage me
ho reshmi dhage me reshmi dhage me

ho is dhage me bandhi hui
bahan ke dil ki duaye ho
sankat me bhai ko
shakti ka avtaar banaye ho
ho is dhage me bandhi hui
bahan ke dil ki duaye ho
sankat me bhai ko
shakti ka avtaar banaye ho
kasam khuda ki is duniya ke o ho
kasam khuda ki is duniya ke
sab dukhde mit jaaye
deen dharma ka bhed mita ke
bhai agar bndh jaaye
reshmi dhage me reshmi dhage me
ho reshmi dhage me reshmi dhage me

bataye raakhi ka tyohar
chhupa hain bhai bahan ka pyaar
bataye raakhi ka tyohar
chhupa hain bhai bahan ka pyaar
reshmi dhage me reshmi dhage me
ho reshmi dhage me reshmi dhage me
reshmi dhage me reshmi dhage me
Kya Leke Aaya Tha
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
kya leke aaya tha kya leke jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
oye dhan daulat or mahal
do mahale yahi chhod kar jana hai
nange jag me aaye the or
nange hi wapis jana hai ho sunle yar
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai

shish mahal me khada hua kyu hamse aankhe fere
shish mahal me khada hua kyu hamse aankhe fere
gali me aake gale se lagja yar khade hai tere
nahi aayega nahi aayega
nahi aayega sidha bistar pe jayega
us bistar ke piche ghari hai
ghari nahi ghadi bolo
us bistar ke piche ghari hai
chalti nahi hai kab se khari hai
usme iski jan ari hai jan ari hai

waqt ke aage chaal chale na hame yahi samjhana hai
waqt ke aage chaal chale na hame yahi samjhana hai
oye dhan daulat or mahal
do mahale yahi chhod kar jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai

oye rang birange sangemarmar ek kothi banai
oye rang birange sangemarmar ek kothi banai
pila telephone laga ke ladki waha pe bithai
pila telephone laga ke ladki waha pe bithai
phone to dekho phone to dekho hukke jaisa
charo taraf hai hukke jaisa
aaj bataye mast kalandar
aaj bataye mast kalandar
kaha hai iske dhan ka mantar
panch hai unli panch hai numbar

apne desh ki chori kare to uska jail thikana hai
apne desh ki chori kare to uska jail thikana hai
oye dhan daulat or mahal
do mahale yahi chhod kar jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai

dekho hazrat matha upar chandan tilak lagaye
dekho hazrat matha upar chandan tilak lagaye
roza hawan karwaye ghar me bhaktan ko bulwaye
hawan kund ke hawan kund ke pichu shankar
dekho tum bhi pandit ban kar
in kadmo me sar ko jhuka de
in kadmo me sar ko jhuka de
kala neela button daba de
muh me rama bagal me khanjar
ye shaitan ka nana hai
muh me rama bagal me khanjar
ye shaitan ka nana hai
dhan daulat or mahal
do mahale yahi chhod kar jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
nange jag me aaye the or nange hi wapis jana hai
O Mera Imaan Tujpe Kurbaan
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
o meri jaan o meri jaan
mera iman tujhpe kurban
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai

o meri jaan o meri jaan
mera iman tujhpe kurban
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai

ho mere yaara dil ye pukara
mujhko tere pyaar me mila mera khuda
or kahi nahi ho mere yaara dil ye pukara
mujhko tere pyaar me mila mera khuda
or kahi nahi kaba na manu kashi na manu
tere samne hamesha sar mera jhuka
or kahi nahi tu meri shan meri aan tu meri jaan
or koi nahi o meri jaan o meri jaan
mera iman tujhpe kurban
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai

dil ka sarur yaar tu hai aankho ka nur yaar tu hai
ye jiwan tujhi pe mai luta du
yahi to meri aarzu hai
mere lahu ki har ek bund pe to
ho likha gaya hai tera hi nam yaara
nahi mujhse bada khusnasib koi
jo mai aa jau tere hi kam yaara
peeke aasu tere ruh bol uthi
meri ruh ki sunle azaan yaara
kalma maine mohabbat ka padha jabse
hua tabse hi mai musalman yaara
hua tabse hi mai musalman yaara
o meri jaan o meri jaan mera iman tujhpe kurban
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai
o mere yaar mere yaar tera pyaar jiye
tu meri jindagi hai tu meri bandagi hai
Tune Pyar Se Liya Jo Mera Naam
Singer: Asha Bhosle
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
tune pyar se liya jo mera naam haye re
tune pyar se liya jo mera naam
wahi pe mar jaungi mai wahi pe mar jaungi
jara aankho se pila de ek jam haye re
jara aankho se pila de ek jam
wahi pe mar jaungi mai wahi pe mar jaungi
tune pyar se liya jo mera naam

bahut manaya maine
bahut manaya maine ise samjhaya maine
meri na mane dil ye diwana
teri nigaho me teri nigaho me
teri hi baho me dhundhe thikana dil ye diwana
aage badhke le baju mera tham haye re
aage badhke le baju mera tham
wahi pe mar jaungi mai wahi pe mar jaungi
tune pyar se liya jo mera nam

dekha hai jamana sara dekha hai jamana sara
ek tu hi lage pyara tujhe apna lu apna bana lu
julfo ke saye tale julfo ke saye tale
tu jo lag jaye gale dil bhi luta du ja bhi luta du
tere sath to gujaru ek sham
tere sath to gujaru ek sham
haye wahi pe mar jaungi mai wahi pe mar jaungi
tune pyar se liya jo mera nam
tune pyar se liya jo mera nam haye re
tune pyar se liya jo mera nam
wahi pe mar jaungi mai wahi pe mar jaungi
Data Mere Haal Par
Tag: Hindi
Video:
daata mere haal par na mujhko chhodiye
daata mere haal par na mujhko chhodiye
suniye meri vinti mujhse muh na modiye
suniye meri vinti mujhse muh na modiye
aa bani hai jaan par, aa bani hai jaan par
na bano ajaan
raam hai mahaan, raam naam hai mahaan
raam hai mahaan

haar kar pukaarta hai, dil ye baar baar
haar kar pukaarta hai, dil ye baar baar
saans lena bhi hua hai, mere liye bhaar
saans lena bhi hua hai, mere liye bhaar
raam lijiye na mera, raam lijiye na mera
aur imtihaan
raam hai mahaan, raam naam hai mahaan
raam hai mahaan
Gud Gud Bole
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
gud gud bole huka mere yaar ka
gud gud bole huka mere yaar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
gud gud bole gud gud bole huka mere yaar ka
gud gud bole huka mere yaar ka

yar mere ke thath nawabi
yar mere ke thath nawabi
chede dil se aankh gulabi
chede dil se aankh gulabi
jo bhi usse aankh milaye
duniya usko samjhe sarabi
lage raja lage raja sare sansar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
dekho mujhko ishara krye pyar ka
gud gud bole gud gud bole huka mere yaar ka
gud gud bole huka mere yaar ka

rang sanwla chauda sina chauda sina
rang sanwla chauda sina
uske dar se aaye pasina
uske dar se aaye pasina
jo usse takrana chahe
uska muskil kar de jina
dar na lage dar na lage
usko thanedar ka
dar na lage usko thanedar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
gud gud bole gud gud bole huka mere yaar ka
gud gud bole huka mere yaar ka

hans ke dekhe hosh udaye
hans ke dekhe hosh udaye
dil tode dilbar kahlaye
dil tode dilbar kahlaye
logan banke mast jawani
uske kadmo me bal khaye
diwana hai diwana hai mere hi didar ka
ho diwana hai mere hi didar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
dekho mujhko ishara kare pyar ka
gud gud bole gud gud bole huka mere yaar ka
gud gud bole huka mere yaar ka
Upar Wale Teri Dharti Pe
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
upar wale teri dharti pe hota hai anyay
upar wale teri dharti pe hota hai anyay
tu dekhe aur tera banda
tu dekhe aur tera banda
mandir mazjid jaaye o rabba haaye
o rabba haaye o rabba haaye, upar wale

abla ki utre jo sadi
dharti pe dukhiya hai nari
abla ki utre jo sadi
dharti pe dukhiya hai nari
ijjat uski lut raha hai
ijjat uski lut raha hai
gali gali me atyachari
phir se koi ram bane aur ravan se takraye
phir se koi ram bane aur ravan se takraye
tu dekhe aur tera banda
tu dekhe aur tera banda
mandir mazjid jaaye o rabba haaye
o rabba haaye o rabba haaye, upar wale

sisak rahi hai kahin pe sita
tadap rahi hai kahin farida
sisak rahi hai kahin pe sita
tadap rahi hai kahin farida
jale quran kisi masjid me
jale quran kisi masjid me
raakh huyi mandir me geeta
aisa na ho naam tera is duniya se mit jaye
aisa na ho naam tera is duniya se mit jaye
tu dekhe aur tera banda
tu dekhe aur tera banda
mandir mazjid jaaye o rabba haaye
upar wale teri dharti pe hota hai anyay
tu dekhe aur tera banda
tu dekhe aur tera banda
mandir mazjid jaaye o rabba haaye
o rabba haaye o rabba haaye, upar wale
Banke Pawan
Singer: Asha Bhosle
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
ban ke pawan ud jaungi mai
hath kisi ke na aaungi mai
ban ke pawan ud jaungi mai
hath kisi ke na aaungi mai
koi rok sake to rok le
koi rok sake to rok le
ha ban ke pawan ud jaungi mai
hath kisi ke na aaungi mai

rup ki baho me nayi nayi nikhri jawani
ho ho ho nikhri jawani
rup ki baho me nayi nayi nikhri jawani
ho ho ho nikhri jawani
lu angdaai tadpaye ye adaa mastani
ho adaa mastani
dekh ke mujhko jhuki jhuki jaye dekho
phulo ki dali tir nazar ka chalaungi mai
sabko nishana banaungi mai
koi rok sake to rok le
koi rok sake to rok le
ha ban ke pawan ud jaungi mai
hath kisi ke na aaungi mai

lambi lambi kaali wo gire ghungrali meri zulfe
ho ho ho ghungrali zulfe
lambi lambi kaali wo gire ghungrali meri zulfe
ho ho ho ghungrali zulfe
hoke matwali mere kano ki baali sang uljhe
ho ud ke uljhe
shola banke dahak dahak jaye mere
galo ki lali
din me tare dikhlaungi mai
koi rok sake to rok le
koi rok sake to rok le
ha ban ke pawan ud jaungi mai
hath kisi ke na aaungi mai
Chadega Mujhko Toh
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan
chele udaungi aag lagaungi tera jala dungi daman
ek nari banke chingari
phunk deti hai ha sara jaha
ek nari banke chingari
phunk deti hai ho sara jaha
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan

aurat ye banti hai saho ki takdire
aurat ye banti hai saho ki takdire
arey zulmo se takraye zulfo ki janjire
kajal ki ye tikhi dhare ban na jaye do
dhari talware chhedega mujhko
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan
chele udaungi aag lagaungi
tera jala dungi daman
ek nari banke chingari
phunk deti hai ha sara jaha
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan

gidad se darna kya shero se takrau
gidad se darna kya shero se takrau
arey ijjat na lutaungi mar jau ya mit jua
laaz ka bandhan naa todungi
piya ko zinda na chhod ungi chhedega mujhko
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan
chele udaungi aag lagaungi
tera jala dungi daman
ek nari banke chingari
phunk deti hai ha sara jaha
ek nari banke chingari
phunk deti hai ho sara jaha
chhedega mujhko to katungi tujhko
mai banke zehrili nagan
Chhutti Kardungi
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
hath mila ke lat bikhra ke
hath mila ke lat bikhra ke
hath mila ke lat bikhra ke
thumka laga ke
chhuti kar dungi ho chhuti kar dungi
chhuti kar dungi chhuti kar dungi
hath mila ke lat bikhra ke
hath mila ke lat bikhra ke
hath mila ke lat bikhra ke
thumka laga ke
chhuti kar dungi ho chhuti kar dungi
chhuti kar dungi chhuti chhuti

khanjar hai meri nazar me
katil hai meri jawani
khanjar hai meri nazar me
katil hai meri jawani
marungi aisi jagha pe jaha mile na pani
dungi har kurbani sun le manmani
payal baza ke pehlu me aake
payal baza ke pehlu me aake
hath mila ke lat bikhra ke
thumka laga ke
chhuti kar dungi ho chhuti kar dungi
chhuti kar dungi chhuti

masti hai jalwo ki dekhe do dhari talwar
masti hai jalwo ki dekhe do dhari talwar
kal tak jo dushman raha hai
aaj bana kyo yaar kuchh to hoga raaz
hosh me aa dildar
ang laza ke rang zama ke
ang laza ke rang zama ke
hath mila ke lat bikhra ke thumka laga ke
chhuti kar dungi ho chhuti kar dungi
ho chhuti kar dungi
Nanhi Nanhi Palke Tori
Music: Sonik Omi
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Video:
nanhi nanhi palke tori
nanhi nanhi palke tori
meri nindiya karle chori
mamta ki baaho se main khechu
mamta ki baaho se main khechu
tere palne ki dori
nanhi nanhi palke tori

tu mere yovan ki jwala
tu mere yovan ki jwala
jisko maine rup me dhala
kitna sundar tera tan man
kal ko na ho jaye kala
hans hans rote rote
hans hans rote rote
deti hu main tujhko lori
nanhi nanhi palke tori

tu dharti se julm mitaye
tu dharti se julm mitaye
zakhmo ki marham ban jaye
gham ke sholo se main khelu
lekin tujh pe aanch na aaye
tujho laage meri umariya
tujho laage meri umariya
kam ho jaye saanse mori
nanhi nanhi palke tori
nanhi nanhi palke tori
meri nindiya karle chori
la ll la palke tori
palke tori
Ghar Se Beghar Kar Gayi
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samay-Ki-Dhaara/Ghar-Se-Beghar/Pwo9QARpYwE
Video:
ghar se beghar kar gayi karwate nasib ki
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi
ghar se beghar kar gayi karwate nasib ki
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi
ghar se beghar kar gayi karwate nasib ki
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi

rafta rafta aa gayi do dilo me duriya
rafta rafta aa gayi do dilo me duriya
kal mohabbat thi jaha aaj hai majburiya
kal mohabbat thi jaha aaj hai majburiya
aaj kamil ho gayi ho sajise rakib ki
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi

tujhko eye dil mil gaya ab wafao ka sila
tujhko eye dil mil gaya ab wafao ka sila
kar diya katib ne aakhir aaj apna faisla
kar diya katib ne aakhir aaj apna faisla
dil ke tukde kar gayi thokare hakim ki
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi

rok to sakte nahi jindagani ka safar
rok to sakte nahi jindagani ka safar
ho sake mil jaye rah me or koi humsafar
ho sake mil jaye rah me or koi humsafar
jane kyu lagti hai dil ko har khushi ajib si
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi

aata hai is jindagi aisa bhi rato badal
aata hai is jindagi aisa bhi rato badal
jab ke soye soye arma phir se jate hai machal
jab ke soye soye arma phir se jate hai machal
purkashish lagti hai dil ko dhun purane geet ki

dur kitni ho gayi jo manjile karib thi
ghar se beghar kar gayi karwate nasib ki
dur kitni ho gayi jo manjile karib thi
manjile karib thi
Tik Dik Tum Tum Aur
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samay-Ki-Dhaara/Tum-Aur-Hum-Hum-Aur-Tum/NgBZU0dhWGw
tik dik tum tum tik dik tum tum tum aur hum
hum or tum khele ankh micholi hum
tik dik tum tum tik dik tum tum
jhumo nacho gao sang sang
are kitna hasi hai pyar ka mausam

tik dik tum tum tum aur hum hum or tum
picnic aaj manaye hum tik dik tum tum
tik dik tum tum jhumo nacho gao sang sang
are kitna hasi hai pyar ka mausam
tik dik tum tum tik dik tum tum
tik dik tum tum tik dik tum tum

kyu rutha hai banti raja tujhko hum khush kar denge
kyu rutha hai banti raja tujhko hum khush kar denge
aasman ke tod ke tare teri jholi bhar denge
achhi achhi chize apne bete ko dilwadenge
achhi achhi chize apne bete ko dilwadenge
are hathi ghoda motar gadi isko mangawa denge
banti ab to gussa chhodo sath hamare khao

tik dik tum tum tum aur hum hum or tum
khele ankh micholi hum tik dik tum tum
tik dik tum tum jhumo nacho gao sang sang
are kitna hasi hai pyar ka mausam
tik dik tum tum tik dik tum tum
tik dik tum tum tik dik tum tum

apne jiwan ki bagiya phul hai kitne pyare
apne jiwan ki bagiya phul hai kitne pyare
sath me inke sunder lagte dunia ke ye najaare
pappu ab to mafi mango banti bada hai bhai
pappu ab to mafi mango banti bada hai bhai
wada karo hath milakar nahi karoge ladai
hath milkar ek duje ko milkar gale lagao
ab to gale lag jao tik dik tum tum tum aur hum
hum or tum khele ankh micholi hum
tik dik tum tum tik dik tum tum
jhumo nacho gao sang sang
are kitna hasi hai pyar ka mausam
tik dik tum tum tik dik tum tum
tik dik tum tum tik dik tum tum
Maa Meri Maa Pyaari Pyaari Maa
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samay-Ki-Dhaara/Ma-Meri-Ma/Jjk7Z0VvYwM
Video:
maa meri maa pyari pyari maa
maa meri maa pyari pyari maa
tu meri manjil hai tere bin jau kaha
teri in aankho me mere hai dono jaha
maa meri maa pyari pyari maa

mujhko pita ki yad rulaye
pal pal uska pyar bulaye
mujhko pita ki yad rulaye
pal pal uska pyar bulaye
na tujhko chhod saku na usko bhul saku
bina tum dono ke jiu mai kaise yaha
maa meri maa
Cheque Zindagani Ka
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: M.G. Hashmat
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samay-Ki-Dhaara/I-Am-in-Love/AhwqADFpUF4
cheque zindgani ka cash kar lijiye
jab tak jawani hai aish kar lijiye
cheque zindgani ka cash kar lijiye
jab tak jawani hai aish kar lijiye
i am in love you are in love
we are in love come on guy

meri jindgani ki jo hai preshani
dekhi na jaye mujhse o jani
bhul ke sari wo bate purani
kar de shuru hum nayi kahani
i am in love you are in love
we are in love
cheque zindgani ka cash kar lijiye
jab tak jawani hai aish kar lijiye
i am in love you are in love
we are in love

meri nigaho ki jheel me dilbar
dubke man ki pyas bujhale
baho me apni o mujhko chhupake
dhadkan me apni mujhko basale
i am in love you are in love
we are in love
cheque zindgani ka cash kar lijiye
jab tak jawani hai aish kar lijiye
i am in love you are in love
we are in love